Saturday, July 23, 2011

Shirdi Wale Sai Baba

Zamane Mein Kahan, Tooti Hui Tasveer Banti Hai
Tere Darbaar Mein Bigdi Hui, Taqdeer Banti Hai
Taareef Teri, Nikli Hai Dil Se
Aayee Hai Labh Pe, Ban Ke Qawwali
Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali
(Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali)
Labh Pe Duaayen, Aankhon Mein Aansoo
Dil Mein Umeedein, Par Jholi Khaali
Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali
(Dar Pe Sawaali, Aaya Hai Dar Pe Sawaali, Sawaali)
Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali
O Mere Saayeen Deva, Tere Sab Naam :Leva
(O Mere Saayeen Deva, Tere Sab Naam :Leva)
Judaa Insaan Saare, Sabhi Tujhko Hain Pyare
Sune Faryaad Sab Ki, Tujhe Hai Yaad Sab Ki
Bada Ya Koi Chhota, Nahin Maayoos Lauta
Ameeron Ka Sahara, Garibon Ka Guzaara
Teri Rehmat Ka Kissa Bayaan, Akbar Kare Kya
Do Din Ki Duniya, Duniya Hai Gulshan
Sab Phool Kaante, Tu Sab Ka Maali
(Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali)
Khuda Ki Shaan Tujhmein, Dikhe Bhagwan Tujhmein
(Khuda Ki Shaan Tujhmein, Dikhe Bhagwan Tujhmein)
Tujhe Sab Maante Hain, Tera Ghar Jaante Hain
Chale Aate Hain Daude, Jo Khush :Kismat Hain Thode
Yeh Har Raahi Ki Manzil, Yeh Har Kashti Ka Saahil
Jise Sab Ne Nikaala, Use Tune Sambhaala
(Jise Sab Ne Nikaala, Use Tune Sambhaala)
Tu Bichhdon Ko Milaaye, Bujhe Deepak Jalaaye
(Tu Bichhdon Ko Milaaye, Bujhe Deepak Jalaaye
Tu Bichhdon Ko Milaaye, Bujhe Deepak Jalaaye)
Yeh Gum Ki Raatein, Raatein Yeh Kaali
Inko Banaade Id Aur Diwali
(Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali)
Labh Pe Duaayen, Aankhon Mein Aansoo
Dil Mein Umeedein, Par Jholi Khaali
(Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali
Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali
Shirdi Wale Sai Baba, Aaya Hai Tere Dar Pe Sawaali...)

3 comments: